General Knowledge of Urdu

  1. Urdu ka pehla ghazal go shair tha walli daccni
  2. Walli daccni nay ye books likhi hain
    a. masnavi dah majlis
    b. hindi deewan
    c. rasala noor ul marfat
  3. Khawaja meer dard ka real name khawaja meer tha.
  4. DARD 1133 Hijri (1723) ko peda howy aor 1199 hijri (1785) ko wafat pai
  5. Dard ki choti barhi 12 books hain
  6. Masnavi Sehr ul Biyan Meer Hasan nay likhi thi.
  7. Meen Hasan nay total 12 masnvia likhi thi
  8. Masnavi Gulzar e naseem Diya Shankar naseem nay likhi thi
  9. Marsia Arabic ka lafz hay jis ka matlab hay roona peetna, rehm khana ya dard feel karna
  10. Marsia k 9 ajza hain
  11. Marsia ka aghaz Deccan say howa
  12. Marsia ka sab say pehla majmua Karbal Khata hay.
  13. Karbal katha ko 1145 main Fazli nay likha tha
  14. Meer Anees nay 176 marsia likhy thay
  15. Meer Anees ko sab say barha marsia khawan kaha jata hay
  16. Qaseeda ki 2 kinds hain
  17. Dr fallen nay nazeer akber abadi ko urdu nazam nigari ka bani kaha tha
  18. Nazeer Akber abadi ki nazmain Axdahay ka bacha aor choho ka achar likhi thi
  19. nazeer ki boht si nazmen tamseel nigari ki missal hain, ie Hans nama aor Banjara nama
  20. Bagh o bahar ko Meer aman nay likha tha
  21. Bagh o bahar farsi main qissa char darwaish k name say mashoor hay
  22. Bagh o bahar ko meer aman hay Dr Gilchrist ki farmaish pay 1802 main likha tha
  23. Molvi abdul haq nay kaha tha k “jab main urdu bhoolny lagta hon to Bagh o bhar parh lieta hon
  24. Fasana e ajaib Rajab ali baig sarwar nay likha tha jis ka markazi kirdar Shahzada Jaan e alam tha
  25. Anjaman ara jaan e alam ki mehbuba thi
  26. Malika mehr nigar ic dastan ka sab say important role tha
  27. Molvi nazeer ahmed k novels.
    miratul uroos
    binat ul naash
    toba tun nasooh
    fasana e mubtala
    ayyami
    ibn ul waqt
  28. Mirza zahir dar baig nazeer ahmed ka sab say famous character hay
  29. Fasana e Azad by Rattan nath Sarshaar
  30. Fasan e Azad main Azad Husan ara say mohabat karta tha
  31. Fasan e Azad main Famous character Khhoji tha jis ka pura name khawaja badeeu zaman tha
  32. Firdos e bareen by Abdul haleem sharer
  33. Amrao jaan ada by mirza hadi ruswa
  34. Amrao jaan ada ka asal name Meeran Bai ha
  35. Akher shab k humsafar by Qurat ul ain haider
  36. Sajjad haider yaldaram apny zamany k sab say romantic adeeb thy
  37. Paraim chand ka sab say pehla afsana Roothi Rani k name say Zamana main 1907 main chapa
  38. 1908 main paraim chand ka Soz e watan k name say pehla majmua shaya howa
  39. Haj e akber paraim chand ka afsana tha
  40. Labaik mumtaz mufti nay likhi
  41. Paraim chand ka aik majmua Angary ka name say 1932 main chapa
  42. Paraim chand ka aik majmua Zad e rah k name say 1936 main chapa
  43. Paraim chand k afsanay
    kafan
    najat
    soteli maan
    mandar
  44. Ghulam abbas k afsany
    andhi
    dhanak
    Bandar wala
    do tamashy
    over coat
    jarhy ki chandni ( majmua)
    katba
  45. Sadat hasan manto ka pehla afsana Tamasha 1933 main shaya howa
  46. Afsano ka pehla majmua Atish pary 1936 main shaya howa jis main total 8 afsany thay
  47. Sadat manto nay Siyah hashiey main fasadat ko point out kia
  48. Intizar hussain ka pahla afasan Quma ki dukan hay jo 1948 main shaya hwa
  49. Intizar hussin ka pehla majmua Gali Koochy 1952 main shaya howa
  50. Kankari 1955 main shaya howa jis main 14 afsany thy
Share this;